Le aayi hai beethe huae Lamhon ko phir haan yeh zindagi Yun beraham si ho gayi Lene chali jaan yeh zindagi

Khuda kyun rooth gaya mujhse Nahi tha bair mera tujhse Kyun tune chheen liya mujhse Mera jahaan..

Aye Khuda (khuda) Tu bata (bata)

Ummeed thi, armaan thhe Khushiyan bhi thi, behisaab si Bahon mein thi, duniya meri Thi zindagi jaise khwab si

Har ik pal roshan roshan tha Mehekta dil ka angan tha Tha jannat se badhkar pyara Mera jahaan

Aye Khuda (khuda) Tu bata (bata)

Ye kya kiya Khuda.. haaye! Ye kyu kiya Khuda.. Bata mere Khuda Thi kya meri khata..

Bejaan si hai zindagi Har saans hai ghamzada

Ye kya kiya Khuda.. haaye! Ye kyu kiya Khuda.. Bata mere Khuda Thi kya meri khata..

Ummeed hai tooti huyi Tanhaiyon ka daur hai Hai khwaishein bikhri huyi Khamoshiyon ka shor hai

Bula le apne paas mujhe Naa aaye jeena raas mujhe Kyun tune cheen liya mujhse Mera jahan..

Aye Khuda (Khuda…) Tu bata (bata…)

Ye kya kiya Khuda.. haaye! Ye kyu kiya Khuda.. Bata mere Khuda Thi kya meri khata..

Bejaan si hai zindagi Har sans hai ghamzadaa

Ye kya kiya Khuda.. haaye! Ye kyu kiya Khuda.. Bata mere Khuda Thi kya meri khata..